Poet/ Darama Host
Wasi Shah is Asian Great Urdu poet from Punjab Pakistan. He is wellknown famous and most favorite of teens college girls all age of guys and all teacher professor well educated persons.
Wais Shah’s poetry books include “Mujhe Sandal Ker do” and his nazams include “Kash main tere Haseen Hathon ka Kangan Hota”. “Aankhein bheeg jaati hain”. and many more nice potry. He is very great and well mannered person, Asian Pakistani are proude of him.
Ghazal
kal hamesha ki tarha uss ne kaha ye phone per
main bohat masroof hoon mujh ko bohat se kaam hein
as liye tum aao milne, main to aa sakti nahi
har rawayet tor ker as baar main ne keh diya
tm jo ho masroof to main bhi bohat msroof hoon
tum jo ho mash`hoor to main bhi bohat ma`roof hoon
tum agar ghamgeen ho main bhi bohat ranjoor hon
tum thakan se choor to main bhi thakan se choor hon
jan-e-man hai waqt mera bhi bohat hi qeemti
kuch purane doston ne milne ana hai abhi
main bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain
warna kehne ko to sb lamhe tumhare naam hain
meri ankhein bhi bohat bojhal hein sona hai mujhe
rat-jagoon ke baad ab neendon main khona hai mujhe
main lahoo apni anaon ka baha sakta nahi
tum nahi aateen to milne main bhi aa sakta nahi
uss ko ye keh ker WASI main ne receiever rakh diya
aur phir apni ana ke pawon pe sar rakh diya
———————————————————————–
Main Ne Socha Tha Reply with quote
Aaj Aap Ayen Gey
Tu Roo Doonga
Aap Poochen Gey
Tu Sab Haal Keh Donga
Keh Doonga K
Kitne Din Howe Hain Soya Nahi
Wo Konsi Bhool Hai Jo Hoi Nahi
Kitab Firdge Mein
Shelf Mein Glass Rakha
Pir Ka Din Tha
Khat Mein Jumeraat Likha
Dost Se Shikhwa Karna Tha
Use Sipas Likha
Tv Par Geet Tha Azaan Nahi
Mein Ne Chonk Kar Sir Par Topi Orhi
Kia Haal Kar Diya Hai Mera
Mujhe Kise Kaam Ka Na rakha
AUR
Jab Aap Ne Aa Kar Poocha
Tu Bas Mein Itna Hi Keh Saka
K Mein Theek Hoon
———————————————–
Kuch Nahi Milta Reply with quote
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta
——————————————
Ghairo Se Kia Shikwa Karna Apne Dhoka Dete Hain
Akser Yeh Jaanay Pehchanay Chehray Dhoka Dete Hain
Wasi Shah Pictures
|
|
|